Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main

haqiqaton ko fasana nahin banati main

tumhaare KHwab se KHud ko nahin jagati main

wo faKHta ki alamat agar samajh jata

to us ke samne talwar kyun uThati main

janab waqai main ne kahin nahin jaana

wagarna aap ki gaDi mein baiTh jati main

phir ek-dam mere pairon mein gir gae kuchh log

qarib tha ki koi faisla sunati main

KHuda ka shukr ki wo raste se lauT gaya

agar wo aata to us ko kahan biThati main

kisi KHayal mein hathon se chhuT jate hain

ye jaan-bujh ke bartan nahin giraati main

wo dil ho ya meri guDiya ki maut ho jo ho

hamesha sog mein chulha nahin jalati main

main manti hun mera faisla ghalat nikla

tumhin batao ki pahle kise bachati main

mera badan kisi titli se kam nahin 'zahra'

to mar na jati agar tere hath aati main

(1388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main In English By Famous Poet Zahraa Qarar. Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main is written by Zahraa Qarar. Read famous Poem Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main for youth and Student by Zahraa Qarar. Free Download Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main in PDF.