Zor Se ThoDi Use Pukara Karna Hai

zor se thoDi use pukara karna hai

hum ne to bas ek ishaara karna hai

beTa beTi ka hissa kyun kha jae

main ne KHud un mein baTwara karna hai

bahut ziyaada bolne wali laDki ko

diwaron ke sath guzara karna hai

warna ek din le Dubega wo hum ko

us dariya se jald kinara karna hai

ye jo use har baat pe ghussa aata hai

hum ne us ko pyar se mara karna hai

sukhe peD ko jangal ki hariyali mein

mushkil apna aap gawara karna hai

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zor Se ThoDi Use Pukara Karna Hai In English By Famous Poet Zahraa Qarar. Zor Se ThoDi Use Pukara Karna Hai is written by Zahraa Qarar. Read famous Poem Zor Se ThoDi Use Pukara Karna Hai for youth and Student by Zahraa Qarar. Free Download Zor Se ThoDi Use Pukara Karna Hai in PDF.