KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin

KHak par hi mere aansu hain na daman mein kahin

jo teri rah mein khoya gaya paya na gaya

sabab-e-KHanda-e-gul gul ko nahin KHud malum

is tarah koi bhi diwana banaya na gaya

muKHtalif naghme se hai qalb-e-mughanni ka raaz

jo lab-e-saz pe bhi bazm mein laya na gaya

rakh diya KHalq ne nam us ka qayamat ai 'zeb'

koi fitna jo zamane se uThaya na gaya

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin In English By Famous Poet Zaib Usmania. KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin is written by Zaib Usmania. Read famous Poem KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin for youth and Student by Zaib Usmania. Free Download KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin in PDF.