Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun

jab bhi ghar ke andar dekhne lagta hun

khiDki khol ke bahar dekhne lagta hun

tanhai mein aisa bhi kabhi hota hai

KHud ko bhi main chhu kar dekhne lagta hun

hath koi jab aaankhon par aa rakhta hai

kaise kaise manzar dekhne lagta hun

pahle dekhta hun main kumak KHayalon ki

phir lafzon ke lashkar dekhne lagta hun

dekh dekh ke us ko ji nahin bharta to

banhon mein phir bhar kar dekhne lagta hun

din bujh jae to phir tare tare mein

KHud ko 'shaz' munawwar dekhne lagta hun

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Jab Bhi Ghar Ke Andar Dekhne Lagta Hun in PDF.