Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya

aaj phir un se mulaqat pe rona aaya

bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya

ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya

aur apnon ki shikayat pe rona aaya

aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana

dil ko badle hue haalat pe rona aaya

ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun

ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya

hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai

ai junun teri KHurafat pe rona aaya

wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar

aaj KHud apni hi auqat pe rona aaya

mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha

aap ke talKH jawabaat pe rona aaya

chhoDiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi

aap ko kyun mere haalat pe rona aaya

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya In English By Famous Poet Zaki Kakorvi. Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya is written by Zaki Kakorvi. Read famous Poem Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya for youth and Student by Zaki Kakorvi. Free Download Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya in PDF.