Mere KHwabon Ka Kabhi Jab Aasman Raushan Hua

mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua

rahguzar-e-shauq ka ek ek nishan raushan hua

ajnabi KHushbu ki aahaT se mahak uTTha badan

qahqahon ke lams se KHauf-e-KHizan raushan hua

phir mere sar se tayaqqun ka parinda uD gaya

phir mere ehsas mein taza-guman raushan hua

jaane kitni gardanon ki ho gain shamen qalam

tab kahin ja kar ye tera KHak-dan raushan hua

shahr mein zindan the jitne sab munawwar ho gae

kis jagah dil ko jalaya tha kahan raushan hua

jal gaya jab yas ke sholon se sara tan 'zaki'

tab kahin ummid ka dhundla nishan raushan hua

(1026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere KHwabon Ka Kabhi Jab Aasman Raushan Hua In English By Famous Poet Zaki Tariq. Mere KHwabon Ka Kabhi Jab Aasman Raushan Hua is written by Zaki Tariq. Read famous Poem Mere KHwabon Ka Kabhi Jab Aasman Raushan Hua for youth and Student by Zaki Tariq. Free Download Mere KHwabon Ka Kabhi Jab Aasman Raushan Hua in PDF.