Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin

kisi taraf jaane ka rasta kahin nahin

aisa ghor andhera dekha kahin nahin

kis zalim ne par peDon ke kaT diye

aag ugalti dhup mein saya kahin nahin

tishna ruh ki pyas bujhane pahunche the

dariya mein bhi pani paya kahin nahin

kanch ki surat sare sapne TuT gae

chham se barasne baadal aaya kahin nahin

mahfil mahfil 'azhar' umr guzari hai

hum sa lekin tanha tanha kahin nahin

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin In English By Famous Poet Zameer Azhar. Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin is written by Zameer Azhar. Read famous Poem Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin for youth and Student by Zameer Azhar. Free Download Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin in PDF.