Na Aansuon Mein Kabhi Tha Na Dil Ki Aah Mein Hai

na aansuon mein kabhi tha na dil ki aah mein hai

tamash-bin hamesha se raqs-gah mein hai

ba-nam-e-ishq meri zindagi tere qurban

magar nasib mera be-talab nibah mein hai

main jaanta hun ki hai kis ki aankh ka aansu

wo ek lal jo ab tak meri kulah mein hai

dilon ke rishte hain sab alwida'i manzil mein

ki na-guzir aziyyat har ek chah mein hai

namaz-e-id kai sal se na paDh paya

ba-nam-e-maut koi KHauf eid-gah mein hai

ye meri fikr nae daur ki amanat hai

ki aane wali sadi bhi meri nigah mein hai

ye ittifaq bhi ek inhiraf hai goya

mera 'zamir' abhi tak meri panah mein hai

(1943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aansuon Mein Kabhi Tha Na Dil Ki Aah Mein Hai In English By Famous Poet Zameer Kazmi. Na Aansuon Mein Kabhi Tha Na Dil Ki Aah Mein Hai is written by Zameer Kazmi. Read famous Poem Na Aansuon Mein Kabhi Tha Na Dil Ki Aah Mein Hai for youth and Student by Zameer Kazmi. Free Download Na Aansuon Mein Kabhi Tha Na Dil Ki Aah Mein Hai in PDF.