Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi

bahaar kaun si tujh mein jamal-e-yar na thi

mushahida tha tera sair-e-lala-zar na thi

mahakti zulfon se KHoshe gulon ke chhuT gire

kuchh aur jaise ki gunjaish-e-bahaar na thi

hum apne dil hi ko rote the lekin is ke liye

jahan mein kaun si shai thi jo be-qarar na thi

talash ek bahana tha KHak uDane ka

pata chala ki hamein justuju-e-yar na thi

jhuka hai qadmon mein tere wo sar ki jis ke liye

koi jagah bhi munasib siwae dar na thi

na jaane 'zeb' dil-e-zar kyun taDap uTTha

hawa-e-subh thi KHushbu-e-zulf-e-yar na thi

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi in PDF.