Be-hisi Par Meri Wo KHush Tha Ki Patthar Hi To Hai

be-hisi par meri wo KHush tha ki patthar hi to hai

main bhi chup tha ki chalo sine mein KHanjar hi to hai

dho ke tu mera lahu apne hunar ko na chhupa

ki ye surKHi teri shamshir ka jauhar hi to hai

rah nikli to koi toD ke chaTTanon ko

samne tera o tarik samundar hi to hai

sath hun main bhi ki dil ki yahi marzi hai magar

dasht bhi be-dar-o-diwar ka ek ghar hi to hai

thak ke KHwabon ki guzargah se uTh aaya main 'zeb'

kaun dekhe wahi dekha hua manzar hi to hai

(1152) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-hisi Par Meri Wo KHush Tha Ki Patthar Hi To Hai In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Be-hisi Par Meri Wo KHush Tha Ki Patthar Hi To Hai is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Be-hisi Par Meri Wo KHush Tha Ki Patthar Hi To Hai for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Be-hisi Par Meri Wo KHush Tha Ki Patthar Hi To Hai in PDF.