Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De

aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de

dekhun jise bhi KHauf-zada sa dikhai de

apne hain shahr bhar mein paraya koi nahin

phir bhi hamara dil hai jo tanha dikhai de

taKHsis koi zalim o mazlum ki nahin

koi duhai de bhi to kis ki duhai de

hamdard hon ghayur hon aur pur-KHulus hon

ai karsaz bahnon ko ab aise bhai de

ye zindagi hai apni kabhi KHush kabhi udas

is kashmakash se mujh ko KHudaya rihai de

'zebi' ajib daur hai ye wahshaton ka daur

saya bhi apna maut ka saya dikhai de

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De In English By Famous Poet Zebunnisaa Zaibii. Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De is written by Zebunnisaa Zaibii. Read famous Poem Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De for youth and Student by Zebunnisaa Zaibii. Free Download Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De in PDF.