Hain Kaam-kaj Itne Badan Se LipaT Gae

hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae

logon ke shahar-bhar se rawabit hi kaT gae

manzar the dur dur to kitne hasin the

taswir zoom ki hai to pixel hi phaT gae

chehre jhulas chuke hain tamasha-e-ishq mein

ai ishq kis tarah tere mear ghaT gae

main KHwab KHamushi mera saya hue hain jama

jab log apne apne girohon mein baT gae

qudrat ka canwas na mukammal dikhai de

kitne hi rang meri nigahon se haT gae

ek zahr hai samaj ke andar bhara hua

itni samog hai ki tanaffus ulaT gae

aankhen bhula chuki hain KHad-o-KHal-e-raushni

baadal to aasman se kab ke hain chhaT gae

'zishan' use KHayal mein rakkha tha mustaqil

aahistagi se baqi KHayalat haT gae

(1188) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Kaam-kaj Itne Badan Se LipaT Gae In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Hain Kaam-kaj Itne Badan Se LipaT Gae is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Hain Kaam-kaj Itne Badan Se LipaT Gae for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Hain Kaam-kaj Itne Badan Se LipaT Gae in PDF.