Jal-pari Hai To Wo TasKHir Bhi Ho Sakti Hai

jal-pari hai to wo tasKHir bhi ho sakti hai

KHwab hota hai to tabir bhi ho sakti hai

zindagi ko zara shatranj samajh kar dekho

mere jhuk jaane mein tadbir bhi ho sakti hai

masale mujh ko miTane hi ka saman nahin

masalon se meri tamir bhi ho sakti hai

yar malum hawa hai ki KHala KHali nahin

raat aaine mein taswir bhi ho sakti hai

zindagi film nahin jis ka ho anjam hasin

surat-e-haal ye gambhir bhi ho sakti hai

is se behtar hai ki hum samne laen ulfat

kuchh nahin hone ki tashhir bhi ho sakti hai

zimmedari bhi dafatir mein taraqqi se baDhe

aap ki tie to zanjir bhi ho sakti hai

sare jale hain wajuhat ke jale lekin

ye jo makDi hai ye taqdir bhi ho sakti hai

waqt ke sath nikhar jata hai taKHliq ka fan

sham-e-'zishan' shab-e-'mir' bhi ho sakti hai

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jal-pari Hai To Wo TasKHir Bhi Ho Sakti Hai In English By Famous Poet Zeeshaan Sajid. Jal-pari Hai To Wo TasKHir Bhi Ho Sakti Hai is written by Zeeshaan Sajid. Read famous Poem Jal-pari Hai To Wo TasKHir Bhi Ho Sakti Hai for youth and Student by Zeeshaan Sajid. Free Download Jal-pari Hai To Wo TasKHir Bhi Ho Sakti Hai in PDF.