Hum Be-gharon Ke Dil Mein Jagati Hai Dar Gali

hum be-gharon ke dil mein jagati hai Dar gali

soti hai aadhi raat ko jab be-KHabar gali

mujh ko to jaan-bujh ke bhaTka diya gaya

sarkar ka makan kahan aur kidhar gali

kuchh sal qabl mere bhi hisse mein aai thi

ek dil-nashin sham aur ek muntazar gali

chal to paDa hun shauq-e-makan mein tere magar

aage se band ye bhi milegi agar gali

sine se teri yaad laga kar main so gaya

har-chand shor karti rahi raat-bhar gali

ek arse baad udhar se jo mera guzar hua

tum bin sabhi udas mile KHas kar gali

anjaan shahr mein tha akela nikal paDa

'zishan' tujh ko zehn mein rakhni thi har gali

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Be-gharon Ke Dil Mein Jagati Hai Dar Gali In English By Famous Poet Zeeshan Ilahi. Hum Be-gharon Ke Dil Mein Jagati Hai Dar Gali is written by Zeeshan Ilahi. Read famous Poem Hum Be-gharon Ke Dil Mein Jagati Hai Dar Gali for youth and Student by Zeeshan Ilahi. Free Download Hum Be-gharon Ke Dil Mein Jagati Hai Dar Gali in PDF.