Yun Boli Thi ChiDiya Khaali Kamre Mein

yun boli thi chiDiya KHali kamre mein

jaise koi nahin tha KHali kamre mein

har pal mera rasta dekha karta hai

jaane kis ka saya KHali kamre mein

khiDki ke raste se laya karta hun

main bahar ki duniya KHali kamre mein

har mausam mein aate jate rahte hain

log hawa aur dariya KHali kamre mein

chehron ke jangal se le kar aaya hun

surKH gulab ka pauda KHali kamre mein

basti mein har raat nikalne wala chand

umr hui na utra KHali kamre mein

tez hawa mein sare kuze TuT gae

aur phaila ek sahra KHali kamre mein

'sahil' shahr se dur akela rahta hai

jaise main hun rahta KHali kamre mein

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Boli Thi ChiDiya Khaali Kamre Mein In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Yun Boli Thi ChiDiya Khaali Kamre Mein is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Yun Boli Thi ChiDiya Khaali Kamre Mein for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Yun Boli Thi ChiDiya Khaali Kamre Mein in PDF.