Aansu Ki Wajh

jab hum daraKHt banna chahte hain

aur ban jate hain

lekin

hum kisi ko saya nahin de pate

koi parinda hamari shaKHon par git nahin gata

koi gilahri hamare tane mein apna ghar nahin banati

hamari konpalon par kabhi os nahin chamakti

aur hazaron sal tak hamein dimak nahin lagti

jab hum rasta ban jaana chahte hain

aur ban jate hain ek pul

aur sari zindagi

ek hi jagah guzar dete hain

aur sab hamein par kar ke zindagi bhar ke liye

bichhaDte rahte hain

kisi KHana-jangi mein hamein aag nahin lagti

aur hamare TukDe dur dur tak

ek sath nahin bahte

jab hum samundar banna chahte hain

aur mahz ek aansu ban ke

kisi rumal mein jagah bana lete hain

aur koi use sine se nahin lagata

apni kalai par nahin bandhta

koi use jala ke rakh

kisi zaKHm mein nahin bharta

jab hum ek kahani banna chahte hain

aur sirf ek lafz ban ke

sard honTon se ada hote hain

aur phir hamesha KHalaon mein bhaTakte rahte hain

ya faza mein gunjte rahte hain

ya shayad ye lafz dil ki gahrai se

kabhi bahar nahin nikal pata

aur hamesha ke liye

hamari tarah

faramosh kar diya jata hai

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu Ki Wajh In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Aansu Ki Wajh is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Aansu Ki Wajh for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Aansu Ki Wajh in PDF.