Chaqu

hamari tanhai se

ek lalTain banai ja rahi hai

jise tufani barish mein

hangami taur par istimal kiya jaega

ya sone ki kan mein kaam karne walon ko

muft faraham kiya jaega

hamari tanhai se

ek bagghi banai ja rahi hai

jise tafrihi maqamat par rakha jaega

ya express train ke

paTri se utar jaane ke baad

KHarab mausam mein

rawana kya jaega

hamari tanhai se

ek pul banaya ja raha hai

jise jang ke dauran ya baad mein

Tankon ke guzar jaane ke liye

istimal kiya jaega

ya achanak

dhamake se uDa diya jaega

hamari tanhai se

ek chaqu banaya ja raha hai

jise kaghaz kaTne aur seb tarashne ke

kaam mein laya jaega

aur

zang-alud hone par

hamare dil mein

utar diya jaega

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaqu In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Chaqu is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Chaqu for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Chaqu in PDF.