Chizen Apni Jagah Tabdil Karna Chahti Hain

us lafz ka

kya matlab hai jo

tum mohabbat mein shukr-gizari ke liye

ek KHase mauqe par

istimal karti ho

kisi aur jagah

kisi aur shaKHs ke samne

jazbaat ke shiddat se izhaar ke liye

kya isi tarah is lafz ko

dohraya ja sakta hai?

kya ise kahte hue

lafzon ki saKHt

aur durust adaegi ka

hamesha KHayal rakhna hoga?

kya meri thoDi si

be-ehtiyati us ka mafhum

bahut ziyaada tabdil to nahin kar degi

kya is lafz ke liye

kisi dusri zaban mein

koi mutabaadil lafz

ziyaada madad-gar sabit nahin hoga?

aur sab baaton ke bawajud

main jo kuchh chahta hun

shayad wazeh na ho sake

is lafz ke liye

jo tum kahti ho ek KHas mauqe par

mohabbat mein shukr-guzari ke taur par

jab hamesha ki tarah

chizen apni jagah tabdil karna chahti hain

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chizen Apni Jagah Tabdil Karna Chahti Hain In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Chizen Apni Jagah Tabdil Karna Chahti Hain is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Chizen Apni Jagah Tabdil Karna Chahti Hain for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Chizen Apni Jagah Tabdil Karna Chahti Hain in PDF.