Halki Aur Bhaari Chizen

ek goli

bahut halki hoti hai

gali ke kone par khaDe laDke ki

banduq se nikalne ke baad

dur faleTon mein

khiDki se nikle bazu tak pahunchte waqt

wo apna sara wazn

apni sari taqat kho deti hai

aur bazu mein suraKH karne ke baad

aage nahin baDh pati

wahin rah jati hai goli ke bazu mein rah jaane se

aadmi ko bahut taklif hoti hai

agar is goli ke sath

do tin goliyan aur bhi hotin

to shayad aadmi ko aur ziyaada taklif ho rahi hoti

wo ye baat nahin sochta

aur karahne lagta hai

ziyaada goliyon se us ki maut bhi waqe ho sakti thi

wo ye baat bhi nahin sochta

aur rone lagta hai

goliyon se bhi kam wazn rakhne wale aansu

bistar ki chadar aur paron se bhare takiye mein

jazb ho jate hain

bazu mein aTki hui goli ke KHayal se

wo ye bhi nahin sochta

ki agar us ke baad halke aansu takiye ya chadar par girne ke bajae

bhaari banduq par girte rahte

to ek na ek din

use zang lag jata

ya phir us ki taraf goli bhejne wale

laDke ka saKHt dil

us ke aansu dekh kar

mom ho jata

bhaari chizon ki jagah

halki chizen le letin

halki chizon ki jagah

kuchh aur na aa pata

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Halki Aur Bhaari Chizen In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Halki Aur Bhaari Chizen is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Halki Aur Bhaari Chizen for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Halki Aur Bhaari Chizen in PDF.