Kitabi KiDe

ek nazm se

dusri nazm tak jaane mein

wo ziyaada waqt nahin lete

agar kahin likha hua ho

dariya

aur us ke baad koi pul na ho

tab inhen koi nahin rok sakta

wo bahut tez tez chalte hue

sada bahaar phulon ke namon se

KHizan mein girne wale

aaKHiri pate tak ja pahunchte hain

agar hamari nazmon ka shair

kisi kahani mein

apni mahbuba se aaKHiri bar mil raha ho

ya kisi Drame mein use pahli dafa dekh raha ho

unhen ziyaada der nahin lagti

mohabbat ko KHatm karte hue

stage ko dimak lagate hue

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitabi KiDe In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Kitabi KiDe is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Kitabi KiDe for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Kitabi KiDe in PDF.