Shaer Aur MasKHare

hamare yahan aam taur par

har mauqe par

shaer aur masKHare

ek jaisi kursiyon par baiThte hain

aur kursiyon tak aane ke liye

ek hi raste se guzarte hain

aur is raste se pahle

ek hi zine upar chaDhte hain

shaer aur masKHare sath sath chalte hain

chalte chalte masKHara zor zor se hansta hai

shaer rota hai aur hum

donon ki aawazen sath sath sunte hain

aur bhul jate hain dhyan hi nahin dete

is baat par ki in mein se

shaer ki aawaz kaun si hai aur masKHare ki kaun si

aur is baat par ki hamein

masKHare ki hansi par tawajjoh deni chahiye

ya shaer ke aansuon par

aur is baat par ki hamein

shairon masKHaron aur kursiyon mein

koi farq mahsus nahin hota

(1136) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaer Aur MasKHare In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Shaer Aur MasKHare is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Shaer Aur MasKHare for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Shaer Aur MasKHare in PDF.