Massage

ai ghazali aankhon wali

suna hai tumhaare shahr mein chae achchhi milti hai

so main chae pine aa jaun

tum bhi kisi cafe mein aa jaana

aur suno

farsuda samaj ke layani rasm-o-riwaj

ki baat mat karna

chali aana

us ne jawaban likha

chae chhoDiye aap hamare ghar tashrif laiye

hamari family se miliye

apni family se milwaiye

hum sada-mizaj sadiyon purani mehman-nawazi se

aap ka istiqbaal karenge

are laDki had karti ho

family se kaise tumhein milwa sakta hun

main apni sherni ko bhala kyunkar ganwa sakta hun

wo mujhe kachcha chaba jaegi

wo hairani se likhne lagi

sherni kaun sherni

jawab aaya sherni

meri sharik-e-hayat mere bachchon ki man

meri jaan

tum milne aao to Thik warna is topic ko KHatm karte hain

wo aansu pite baDe karb se likhne baiThi

aap mujhe bahut ghalat samjhe hain

main akele milne kabhi nahin aa sakti

aaKHir aap ne kya soch kar ye sab kaha hai

khilkhilate icon ke sath us ka massage numudar hua

are laDki tum mein zara hiss-e-mizah nahin hai

mazaq ko bhi tum koDh maghz nahin samajhti

ye sab az-rae tafannun kaha hai

(1308) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Massage In English By Famous Poet Zehra Alvi. Massage is written by Zehra Alvi. Read famous Poem Massage for youth and Student by Zehra Alvi. Free Download Massage in PDF.