Chhalak Rahi Hai Mai-e-nab Tishnagi Ke Liye

chhalak rahi hai mai-e-nab tishnagi ke liye

sanwar rahi hai teri bazm barhami ke liye

nahin nahin hamein ab teri justuju bhi nahin

tujhe bhi bhul gae hum teri KHushi ke liye

jo tirgi mein huwaida ho qalb-e-insan se

ziya-nawaz wo shoala hai tirgi ke liye

kahan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visal

abhi to log taraste hain zindagi ke liye

jahan-e-nau ka tasawwur hayat-e-nau ka KHayal

baDe fareb diye tum ne bandagi ke liye

mai-e-hayat mein shamil hai talKHi-e-dauran

jabhi to pi ke taraste hain be-KHudi ke liye

(1164) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhalak Rahi Hai Mai-e-nab Tishnagi Ke Liye In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Chhalak Rahi Hai Mai-e-nab Tishnagi Ke Liye is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Chhalak Rahi Hai Mai-e-nab Tishnagi Ke Liye for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Chhalak Rahi Hai Mai-e-nab Tishnagi Ke Liye in PDF.