Dil Bujhne Laga Aatish-e-ruKHsar Ke Hote

dil bujhne laga aatish-e-ruKHsar ke hote

tanha nazar aate hain gham-e-yar ke hote

kyun badle hue hain nigah-e-naz ke andaz

apno pe bhi uTh jati hai aghyar ke hote

viran hai nazar meri tere ruKH ke muqabil

aawara hain gham kucha-e-dildar ke hote

ek ye bhi ada-e-dil-e-ashufta-saran thi

baiThe na kahin saya-e-diwar ke hote

jina hai to ji lenge bahar-taur diwane

kis baat ka gham hai rasan-o-dar ke hote

(1356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bujhne Laga Aatish-e-ruKHsar Ke Hote In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Dil Bujhne Laga Aatish-e-ruKHsar Ke Hote is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Dil Bujhne Laga Aatish-e-ruKHsar Ke Hote for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Dil Bujhne Laga Aatish-e-ruKHsar Ke Hote in PDF.