Jaan Dena Bas Ek Ziyan Ka Sauda Tha

jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha

rah-e-talab mein kis ko ye andaza tha

aankhon mein didar ka kajal Dala tha

aanchal pe ummid ka tara Tanka tha

hathon ki banken chhan chhan chhan hansti thin

pairon ki jhanjhan ko ghussa aata tha

hawa sakhi thi meri, rut ham-joli thi

hum tinon ne mil kar kya kya socha tha

har kone mein apne aap se baaten kin

har pahchal par aaine mein dekha tha

sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin

suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Dena Bas Ek Ziyan Ka Sauda Tha In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Jaan Dena Bas Ek Ziyan Ka Sauda Tha is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Jaan Dena Bas Ek Ziyan Ka Sauda Tha for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Jaan Dena Bas Ek Ziyan Ka Sauda Tha in PDF.