Ek Phul Sa Bachcha

ek din thaka-manda

ek sham be-mani

ek raat hairan si

mere sath ye tinon

mere ghar mein rahte hain

ek dusre se kam

apne aap se hum log

baat karte rahte hain

uljhe suljhe lamhon ki

waqt chadaren bun kar

hum ko Dhanp deta hai

dekhta nahin muD kar

jald jald kaTta hai

hum jo dekhna chahen

wo nazar churaata hai

ek phul sa bachcha

be-KHabar niDar sachcha

mere ghar ke kamron mein

aa ke ghul machata hai

munjamid KHamoshi ko

toDti hansi us ki

is tarah bikharti hai

jaise Thahre pani mein

koi kankari phenke

aks jhum jhum uTThe

mauj mauj lahrae

ek din thaka-manda

jag jag jata hai

ek sham be-mani

harf harf sajti hai

ek raat hairan si

aankh mund leti hai

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Phul Sa Bachcha In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ek Phul Sa Bachcha is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ek Phul Sa Bachcha for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ek Phul Sa Bachcha in PDF.