Qissa Gul-baadshah Ka

nam mera hai gul-baadshah

umr meri hai terah baras

aur kahani

meri umar ki tarah se muntashir muntashir

muKHtasar muKHtasar

meri be-nam be-chehra man

be-dawa mar gai

bap ne us ko burqe mein dafna diya

us ko Dar tha ki munkir-nakir

meri amman ka chehra na dekhen

waise zinda thi, jab bhi wo madfun thi

bap ka nam zar-taj-gul

umar battis baras

wo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua

aur jam-e-shahadat bhi us ne

apne bhai ke hathon piya

jo shumali mujahid tha

aur panj-waqta namazi bhi tha

masala is shahadat ka pechida hai

is ko behtar yahi hai yahin chhoD den

ab bahar-haal baba to jannat mein hai

us ke hathon mein jam-e-tuhur

us ki banhon mein hur o qusur

meri taqdir mein bam-dhamake dhuan

pighalti hui ye zamin

bikharta hua aasman

baad-az-marg wo zinda hai

zindagi mujh se sharminda hai

2

kal sar-e-sham dushman ne aate hue

bam ke hamrah barsa diye

mujh pe kuchh pile thaile

jin se mujh ko mile

gol roTi ke TukDe

ek makkhan ki Tikiya

ek sharbat ki botal

murabbe ka Dabba

is ke badle mein wo le gae

mere bhai ka dast-e-mashaqqat

jis mein minnat ka Dora bandha tha

meri chhoTi bahan ka wo panw

jis se rang-e-hina phuTta tha

log kahte hain ye amn ki jang hai

amn ki jang mein hamla-awar

sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhoDte hain

un ko bhuka nahin chhoDte

aaKHir insaniyat bhi koi chiz hai

main dahakte pahaDon mein tanha

apne tarke ki banduq thame khaDa hun

tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha

tamasha-e-ahl-e-karam dekhta hun

(1358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa Gul-baadshah Ka In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Qissa Gul-baadshah Ka is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Qissa Gul-baadshah Ka for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Qissa Gul-baadshah Ka in PDF.