Shahr Ke Ek Kushada Ghar Mein

shahr ke ek kushada ghar mein

apne apne kaam sambhaale

main aur ek meri tanhai

hum donon mil kar rahte hain

baaten karte rote hanste

har dukh-sukh sahte rahte hain

aaj ki jab suraj bhi nahin tha

phulon ke khilne ka ye mausam bhi nahin tha

aur falak par chand ke chha jaane ka hafta bit chuka tha

darwaze ki ghanTi ne wo shor machaya

jis se pura ghar tharraya

hum donon hairan hue ki aisa rahi kaun ruka hai

jo is ghar ko apna ghar hi samajh raha hai

khiDki se bahar jhanka to bas ek KHwab sa manzar dekha

suraj bhi dahliz pe tha

aur chand kiwaD ki oT se lipTa jhank raha tha

phul khile the

hum ne is mehman ko sar aankhon pe biThaya

dil mein jagah di

jo apne ham-rah sabhi mausam le aaya

thaki hui tanhai ne mujh se

thoDi der ko mohlat mangi

main ne us ko chhuTTi de di

sath mein ye takid bhi kar di

dekho kal tum apne kaam pe jaldi aana

bhul na jaana

ye rahi jo sare mausam le aate hain

in ke raste sari duniya mein jate hain

jis aangan mein chalna sikhen

us aangan mein ruk nahin pate

ruk jaen to thak jate hain

(1143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ke Ek Kushada Ghar Mein In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Shahr Ke Ek Kushada Ghar Mein is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Shahr Ke Ek Kushada Ghar Mein for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Shahr Ke Ek Kushada Ghar Mein in PDF.