Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna

jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna

chup lagi aisi ki KHud ho gae zindan apna

na-rasai ka bayaban hai ki irfan apna

is jagah ahrman apna hai na yazdan apna

dam ki mohlat mein hai tasKHir-e-mah-o-mehr ki dhun

sans ek silsila-e-KHwab-e-darKHshan apna

talab us ki hai ki jo sarhad-e-imkan mein nahin

meri har rah mein hail hai bayaban apna

kaisi duri usi shole ki hai zau mera jamal

jis se tabinda raha dida-e-giryan apna

armughan hain teri chahat ke shagufta lamhe

be-KHudi apni shab apni mah-e-taban apna

is tarah aks paDa tere shafaq honTon ka

subh-e-gulzar hua sina-e-viran apna

aisi ghaDiyan kai mujh aison pe aai hongi

waqt ne jin se saja rakkha hai aiwan apna

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna in PDF.