Nigahon Mein Ye Kya Farma Gai Ho

nigahon mein ye kya farma gai ho

meri sanson ke tar uljha gai ho

dar-o-diwar mein hai ajnabiyat

main KHud bhi kho gaya tum kya gai ho

pareshan ho gae tabir se KHwab

ki jaise kuchh badal kar aa gai ho

tamanna intizar-e-dost ke baad

kali jaise koi murjha gai ho

ye aansu ye pashemani ka izhaar

mujhe ek bar phir bahka gai ho

'ziya' wo zindagi kya zindagi hai

jise KHud maut bhi Thukra gai ho

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigahon Mein Ye Kya Farma Gai Ho In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Nigahon Mein Ye Kya Farma Gai Ho is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Nigahon Mein Ye Kya Farma Gai Ho for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Nigahon Mein Ye Kya Farma Gai Ho in PDF.