Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai

tumhaari chahat ki chandni se har ek shab-e-gham sanwar gai hai

sunahri poron se KHwab-reze sameTti har sahar gai hai

mahakte jhonke ke harf-e-taskin mein jaani pahchani larzishen thin

tumhaari sanson ki aanch kitni qarib aa kar guzar gai hai

ab is ka chaara hi kya ki apni talab hi la-intiha thi warna

wo aankh jab bhi uThi hai daman-e-dard phulon se bhar gai hai

na tha na hoga kabhi mayassar sukun jo tere qurb mein hai

ye waqt ki jhil jis mein har lahr jaise thak kar Thahar gai hai

ye barf-zar-e-KHayal jis mein na saut-e-gul hai na aks-e-naghma

teri tawajjoh se aatish-e-shauq isi ko gulzar kar gai hai

ye kaun diwane reg-e-sahra ko mauja-e-KHun se sinchte hain

koi kaho is junun ki us nau-bahaar tak bhi KHabar gai hai

'ziya' dilon mein ghubar kya kya the roe ji bhar ke jab mile wo

wo abr barsa hai ab ke sawan ki patti patti nikhar gai hai

(1426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai in PDF.