Aansu

suno, suno, aansuon ki aawaz ruh ko apne dukhte

hathon se chhu rahi hai

KHizan-zada KHushk patiyan hain

jo sath-e-ab-e-rawan pe ruk ruk ke gir rahi hain

wo sath-e-ab aaina hai jis mein

guzishta lamhon ke malgaje naqsh ubhar rahe hain

in aaina-rang aansuon mein

har aarzu har KHayal har yaad ek taswir-e-be-kasi hai

shafaq ke bujhte alao mein rakh ki tahen rakh mein sharare

ye kis ke aansu hain kaun chup-chap ro raha hai

udas shab ki siyah aankhon mein DabDabaate hue

sitaron se main ne puchha

magar tajjub-zada mujhe dekhte rahe wo

hawaon ki siskiyon se puchha

wo apna daman sameT kar mere pas se kapkapa ke chal din

magar ye aansu lahakte lamhon ke aaine hain

in aansuon mein

har aarzu har KHayal har yaad phir se aabaad ho gai hai

damakte aansu ye qumqume jin se shab ki tarikiyan ujale

in aaina-rang aansuon se nazar milao

mujhe na dekho

ki meri aankhon mein to koi aaina nahin hai

suno suno aansuon ki aawaz sare aalam pe chha rahi hai

magar main kab se taras raha hun

ki meri pathrai KHushk aankhon se bhi kuchh aansu

ubharti lahron ki tarah ubhren

aur un ki hiddat mein Dhal ke bah jae mere sine

ka dard-e-sangin

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Aansu is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Aansu for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Aansu in PDF.