Rah-rau

subuk-pa hawa ki tarah main guzarta raha

subuk-pa hawa ki kahin koi manzil nahin

hawa be-karan waqt ki mauj azal se tarasti rahi

kahin pal ko susta sake so sake

magar dur hadd-e-nazar ek dhundalka tha ab bhi dhundalka hai sahil nahin

mujhe zindagi ek KHalish ban ke Dasti rahi

kabhi aisi manzil na aai jahan koi taza nafas ho sake

har ek dhundli manzil se pahle naya rasta hi ubharta raha

kabhi jalte phulon ki nau-KHez KHushbuen dil mein dahakti rahin

kabhi KHushk jhulsi hui Tahniyan abr-paron ko hasrat

se takti rahin

wo kuchh mujh se kahne ko thin aur jhijakti rahin

kabhi sukh ke sae kabhi dukh ke dariya mera dil machalta raha

kahin phaile maidan kahin saKHt unchi chaTanon ke

uljhe hue silsile

magar meri manzil yahan bhi nahin thi wahan bhi nahin

main chalne pe majbur chalta raha

main har bar kuchh bhul aaya hun pichhe kahin

yunhi jaise KHud rah gaya hun kasi phul ke pas

chalte hue

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-rau In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Rah-rau is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Rah-rau for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Rah-rau in PDF.