Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain

isi nadamat se us ke kandhe jhuke hue hain

ki hum chhaDi ka sahaara le kar khaDe hue hain

yahan se jaane ki jaldi kis ko hai tum batao

ki suitcason mein kapDe kis ne rakhe hue hain

kara to lunga ilaqa KHali main laD-jhagaD kar

magar jo us ne dilon pe qabze kiye hue hain

wo KHud parindon ka dana lene gaya hua hai

aur us ke beTe shikar karne gae hue hain

tumhaare dil mein khuli dukanon se lag raha hai

ye ghar yahan par bahut purane bane hue hain

main kaise bawar karaun ja kar ye raushni ko

ki in charaghon pe mere paise lage hue hain

tumhaari duniya mein kitna mushkil hai bach ke chalna

qadam qadam par to aastane bane hue hain

tum in ko chaho to chhoD sakte ho raste mein

ye log waise bhi zindagi se kaTe hue hain

(2402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain In English By Famous Poet Ziya Mazkoor. Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain is written by Ziya Mazkoor. Read famous Poem Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain for youth and Student by Ziya Mazkoor. Free Download Isi Nadamat Se Uske Kandhe Jhuke Hue Hain in PDF.