Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain

qurbaton ke ye silsile bhi hain

chashm-dar-chashm ratjage bhi hain

jaane wale dinon ke bare mein

aane walon se puchhte bhi hain

baat karne se pahle achchhi tarah

hum bahut der sochte bhi hain

teri KHush-haaliyon ki qamat ko

tere mazi se napte bhi hain

Dubte chand ko dariche mein

chashm-e-pur-nam se dekhte bhi hain

muskurane ke sath yaad rahe

qaus ke rang TuTte bhi hain

sham hote hi bastiyon se dur

sae sayon se bolte bhi hain

teri pahchan kar gai ruswa

lakh bach bach ke hum chale bhi hain

qurbaton ki mahak mahak hai wahi

darmiyan yun to fasle bhi hain

apna chehra gawahi deta hai

rup ki dhup mein jale bhi hain

chand ke sath sath raaton ko

us ke ghar tak 'ziya' gae bhi hain

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain In English By Famous Poet Ziya Shabnami. Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain is written by Ziya Shabnami. Read famous Poem Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain for youth and Student by Ziya Shabnami. Free Download Qurbaton Ke Ye Silsile Bhi Hain in PDF.