Ek Pahuncha Hua Musafir Hai

ek pahuncha hua musafir hai

dil bhaTakne mein phir bhi mahir hai

kaun laya hai ishq par iman

main bhi kafir hun tu bhi kafir hai

dard ka wo jo harf-e-awwal tha

dard ka wo hi harf-e-aKHir hai

kaam adhura paDa hai KHwabon ka

aaj phir nind ghair-hazir hai

laj rakh li teri samaat ne

warna 'tabish' bhi koi shair hai

(2508) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Pahuncha Hua Musafir Hai In English By Famous Poet Zubair Ali Tabish. Ek Pahuncha Hua Musafir Hai is written by Zubair Ali Tabish. Read famous Poem Ek Pahuncha Hua Musafir Hai for youth and Student by Zubair Ali Tabish. Free Download Ek Pahuncha Hua Musafir Hai in PDF.