Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun

tumhaare gham se tauba kar raha hun

tajjub hai main aisa kar raha hun

hai apne hath mein apna gireban

na jaane kis se jhagDa kar raha hun

bahut se band tale khul rahe hain

tere sab KHat ikaTTha kar raha hun

koi titli nishane par nahin hai

main bas rangon ka pichha kar raha hun

main rasman kah raha hun phir milenge

ye mat samho ki wada kar raha hun

mere ahbab sare shahr mein hain

main apne ganw mein kya kar raha hun

meri har ek ghazal asli hai sahab

kai barson se dhanda kar raha hun

(3790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun In English By Famous Poet Zubair Ali Tabish. Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun is written by Zubair Ali Tabish. Read famous Poem Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun for youth and Student by Zubair Ali Tabish. Free Download Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun in PDF.