Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d25068a0e51b8c2328621ac3e3660542, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein - Zubair Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein

zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein

taza ho jati hain choTen sab jaise purwai mein

us ko to jaana tha lekin mera kyun ye haal hua

angnai se kamre mein aur kamre se angnai mein

us ke dil ka bhed usi ki aaankhon se mil sakta tha

kis mein himmat hai jo utre jhilon ki gahrai mein

ek hi ghar ke rahne wale ek hi aangan ek hi duwar

jaane kyun baDhti jati hai nafrat bhai bhai mein

nur basirat ka baKHsha kal tak main ne jin ko 'zubair'

farq nazar aata hai un ko ab meri binai mein

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein In English By Famous Poet Zubair Amrohvi. Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein is written by Zubair Amrohvi. Read famous Poem Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein for youth and Student by Zubair Amrohvi. Free Download Zehn Pareshan Ho Jata Hai Aur Bhi Kuchh Tanhai Mein in PDF.