ChhoD Kar Ghar Ki Faza Ranaiyan Pachhta Gain

chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

raston ki dhul mein aaraishen kajla gain

kis ne phaila di mere aangan mein chadar dhup ki

mere mahtabon ki sari suraten kumhla gain

apna tanha aks pa kar main ne kankar phenk di

sath-e-sahil par kai parchhaiyan lahra gain

muddaton ke baad ji chaha tha chhat par soiye

raat pahlu mein na leTi thi ki bunden aa gain

kucha kucha kaTte phirte hain yaadon ka likha

dil ko jaane kya teri ruswaiyan samjha gain

dur tak koi na aaya un ruton ko chhoDne

baadalon ko jo dhanak ki chuDiyan pahna gain

sham ki dahliz par Thahri hui yaaden 'zubair'

gham ki mehrabon ke dhundle aaine chamka gain

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoD Kar Ghar Ki Faza Ranaiyan Pachhta Gain In English By Famous Poet Zubair Rizvi. ChhoD Kar Ghar Ki Faza Ranaiyan Pachhta Gain is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem ChhoD Kar Ghar Ki Faza Ranaiyan Pachhta Gain for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download ChhoD Kar Ghar Ki Faza Ranaiyan Pachhta Gain in PDF.