Har Qadam Sail-e-hawadis Se Bachaya Hai Mujhe

har qadam sail-e-hawadis se bachaya hai mujhe

kabhi dil mein kabhi aankhon mein chhupaya hai mujhe

aur sab log to mai-KHane se ghar lauT gae

mehrban raat ne sine se lagaya hai mujhe

har hasin anjuman-e-shab mujhe dohraati hai

jaane kis mutrib-e-ashufta ne gaya hai mujhe

sang-sazon ne tarasha hai mere paikar ko

tum ne kya soch ke patthar pe giraya hai mujhe

aane walon mein koi apna shanasa hota

surat-e-farsh-e-dil-o-dida bichhaya hai mujhe

kachchi diwaron ko pani ki lahar kaT gai

pahli barish hi ne barsat ki Dhaya hai mujhe

main jiya ishq ki ek zinda alamat ban kar

dastan-goyon ne raaton ko sunaya hai mujhe

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Qadam Sail-e-hawadis Se Bachaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Har Qadam Sail-e-hawadis Se Bachaya Hai Mujhe is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Har Qadam Sail-e-hawadis Se Bachaya Hai Mujhe for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Har Qadam Sail-e-hawadis Se Bachaya Hai Mujhe in PDF.