Kahan Main Jaun Gham-e-ishq-e-raegan Le Kar

kahan main jaun gham-e-ishq-e-raegan le kar

ye apne ranj ye apni udasiyan le kar

jala hai dil ya koi ghar ye dekhna logo

hawaen phirti hain chaaron taraf dhuan le kar

bas ek hamara lahu sarf-e-qatl-gah hua

khaDe hue the bahut apne jism o jaan le kar

nae gharon mein na rauzan the aur na mehraben

parinde lauT gae apne aashiyan le kar

samundaron ke safar jin ke nam likkhe the

utar gae wo kinaron pe kashtiyan le kar

talash karte hain nau-saKHta makanon mein

hum apne ghar ko purani nishaniyan le kar

unhen bhi sahne paDe the azab mausam ke

chale the apne saron par jo saeban le kar

hawa mein hilte hue hath puchhte hain 'zubair'

tum ab gae to kab aaoge chhuTTiyan le kar

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Main Jaun Gham-e-ishq-e-raegan Le Kar In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Kahan Main Jaun Gham-e-ishq-e-raegan Le Kar is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Kahan Main Jaun Gham-e-ishq-e-raegan Le Kar for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Kahan Main Jaun Gham-e-ishq-e-raegan Le Kar in PDF.