Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi

main ne kab barq-e-tapan mauj-e-bala mangi thi

gungunati hui sawan ki ghaTa mangi thi

dasht-o-sahra se guzarti hui tanhai ne

raste bhar ke liye us ki sada mangi thi

wo tha dushman mera haara to bahut zaKHmi tha

main ne hi us ke liye shaKH-e-hina mangi thi

saeban dhup ka kyun sar pe mere tan diya

ai KHuda main ne to baadal ki rida mangi thi

shaKH se TuTte patton ki tarah main ne bhi

mausam-e-gul tere aane ki dua mangi thi

meri uryani ko kafi thi teri parchhain

main ne kab chand-sitaron ki qaba mangi thi

shahr-e-dilli se hamein aur to kya lena tha

apni sanson ke liye taza hawa mangi thi

(1115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Maine Kab Barq-e-tapan Mauj-e-bala Mangi Thi in PDF.