Bashaarat Pani Ki

purani baat hai

lekin ye anhoni si lagti hai

wo sab pyase the

milon ki masafat se badan behaal tha un ka

jahan bhi jate wo dariyaon ko sukha hua pate

ajab banjar zaminon ka safar darpesh tha un ko

kahin pani na milta tha

khajuron ke daraKHton se unhon ne unT bandhe

aur thak kar so gae sare

unhon ne KHwab mein dekha

khajuron ke daraKHton ki qataren KHatm hoti hain jahan

pani chamakta hai

wo sab jage

har ek jaanib tahayyur se nazar Dali

wo sab uTThe

mahaaren tham kar hathon mein unTon ki

khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm hone mein na aati thin

zabanen sukh kar kanTa hui thin

aur unTon ke qadam aage na uThte the

wo sab chiKHe

bashaarat dene wale ko sada di

aur zamin ko pair se ragDa

har ek jaanib tahayyur se nazar Dali

khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm thin

pani chamakta tha!!

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bashaarat Pani Ki In English By Famous Poet Zubair Rizvi. Bashaarat Pani Ki is written by Zubair Rizvi. Read famous Poem Bashaarat Pani Ki for youth and Student by Zubair Rizvi. Free Download Bashaarat Pani Ki in PDF.