Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4971c3b3124950be72142488aa3fec2c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ashk Girne Ki Sada Aai Hai - Zulfiqar Aadil Poetry In English - Darsaal

Ashk Girne Ki Sada Aai Hai

ashk girne ki sada aai hai

bas yahi rahat-e-goyai hai

sath par tir rahe hain din raat

nind ek KHwab ki gahrai hai

in parindon ka palaT kar aana

ek taKHayyul ki pazirai hai

aks bhi ghair hai aaina bhi

ye tahayyur hai ki tanhai hai

un darichon se ki jo the hi nahin

ek udasi hai ki dar aai hai

dil numudar hua hai dil mein

aankh ek aankh se bhar aai hai

us ki aaankhon ki KHamoshi 'adil'

Dubte waqt ki goyai hai

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Girne Ki Sada Aai Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Ashk Girne Ki Sada Aai Hai is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Ashk Girne Ki Sada Aai Hai for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Ashk Girne Ki Sada Aai Hai in PDF.