Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein

basai main ne jo qalb-e-hazin mein

wo duniya kaam aai kar-e-din mein

wahi hai asl mein jaan-e-tamanna

jo hasrat hai nigah-e-wapsin mein

tere shauq-e-sarapa ki kashish se

simaT aaya hun main apni jabin mein

hai pech-o-tab mein har mauj-e-sahil

wo betabi hai mauj-e-tah-nashin mein

haqiqat hai ki ho tum jaan-e-KHubi

ki KHubi hai watan ki sarzamin mein

mohabbat hai ki wo aks-e-masarrat

utar aaya mere qalb-e-hazin mein

junun ke raj mein insaf hoga

na hoga farq jeb-o-astin mein

bahut kuchh paoge duniya mein pyare

mohabbat paoge lekin hamin mein

'buKHari' ki taDap hafiz ki masti

tumhaare naghma-e-wajd-afrin mein

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein In English By Famous Poet Zulfiqar Ali Bukhari. Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein is written by Zulfiqar Ali Bukhari. Read famous Poem Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein for youth and Student by Zulfiqar Ali Bukhari. Free Download Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein in PDF.