Wo Kahte Hain Ki Hum Ko Uske Marne Par Tajjub Hai

wo kahte hain ki hum ko us ke marne par tajjub hai

main kahta hun ki main zinda raha kyunkar tajjub hai

mera afsana-e-ishq ek aalam hai tahayyur ka

mujhe kah kar tajjub hai unhen sun kar tajjub hai

meri do-chaar ummiden bar aai thin jawani mein

mere allah itni baat par mahshar tajjub hai

hamin hain ishq ko jo shaghl-e-bekari samajhte hain

hamari hi samajh par paD gae patthar tajjub hai

wafadari hui hai is tarah mafqud duniya se

ki KHud mujh ko yahan tak kar guzarne par tajjub hai

mere ahbab ko hairat hai main ne aaj kyun pi li

nahin kyun aaj tak pi thi mujhe is par tajjub hai

'buKHari' tum jawan ho aur jawani ek nashsha hai

tumhaari dastan-e-gham mujhe sun kar tajjub hai

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahte Hain Ki Hum Ko Uske Marne Par Tajjub Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Ali Bukhari. Wo Kahte Hain Ki Hum Ko Uske Marne Par Tajjub Hai is written by Zulfiqar Ali Bukhari. Read famous Poem Wo Kahte Hain Ki Hum Ko Uske Marne Par Tajjub Hai for youth and Student by Zulfiqar Ali Bukhari. Free Download Wo Kahte Hain Ki Hum Ko Uske Marne Par Tajjub Hai in PDF.