Jo Ashk Ban Ke Hamari Palak Pe BaiTha Tha

jo ashk ban ke hamari palak pe baiTha tha

tumhein bhi yaad hai ab tak wo KHwab kis ka tha

hamesha puchhti rahti hai raston ki hawa

yunhi ruke ho yahan ya kisi ne roka tha

laga hua hai abhi tak ye jaan ko khaTka

ki us ne jate hue kyun palaT ke dekha tha

KHabar kise hai kise puchhiye batae kaun

purane qasr mein kya subh-o-sham jalta tha

wajud hai ye kahin bah na jae lahron mein

gira gira ke palak aabju ko roka tha

fazaen aisi to 'adil' kabhi na mahki thin

hawa ke hath pe ye kis ka nam likkha tha

(1599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ashk Ban Ke Hamari Palak Pe BaiTha Tha In English By Famous Poet Aadil Raza Mansoori. Jo Ashk Ban Ke Hamari Palak Pe BaiTha Tha is written by Aadil Raza Mansoori. Read famous Poem Jo Ashk Ban Ke Hamari Palak Pe BaiTha Tha for youth and Student by Aadil Raza Mansoori. Free Download Jo Ashk Ban Ke Hamari Palak Pe BaiTha Tha in PDF.