Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar

ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar

ras aata hai kise hijr manata hua ghar

KHwab ke KHadshe se ab nind uDi jati hai

main ne dekha hai use chhoD ke jata hua ghar

gar zaban hoti to patthar hi batata sab ko

kis qadar TuTa hai wo KHud ko banata hua ghar

us ka ab zikr na kar chhoD ke jaane wale

tu ne dekha hi kahan ashk bahata hua ghar

ab use yaad kahun yas kahun ya wahshat

mujh ko aata hai nazar KHak uData hua ghar

thak gaya kya mere tulani safar se 'adil'

so gaya sath mere mujh ko sulata hua ghar

(1606) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar In English By Famous Poet Aadil Raza Mansoori. Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar is written by Aadil Raza Mansoori. Read famous Poem Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar for youth and Student by Aadil Raza Mansoori. Free Download Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar in PDF.