Din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar

din ke sine pe sham ka patthar

ek patthar pe dusra patthar

ye suna tha ki dewta hai wo

mere haq hi mein kyun hua pathar

daere bante aur miTte the

jhil mein jab kabhi gira patthar

ab to aabaad hai wahan basti

ab kahan tere nam ka patthar

ho gae manzilon ke sab rahi

de raha hai kise sada patthar

sare tare zamin pe gir jate

zor se main jo phenkta patthar

nam ne kaam kar dikhaya hai

sab ne dekha hai tairta patthar

tu use kya uThaega 'adil'

'mir' tak se na uTh saka patthar

(1550) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar In English By Famous Poet Aadil Raza Mansoori. Din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar is written by Aadil Raza Mansoori. Read famous Poem Din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar for youth and Student by Aadil Raza Mansoori. Free Download Din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar in PDF.