Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna

raste sikhate hain kis se kya alag rakhna

manzilen alag rakhna qafila alag rakhna

baad ek muddat ke lauT kar wo aaya hai

aaj to kahani se hadisa alag rakhna

jis se hum ne sikha tha sath sath chalna hai

ab wahi batata hai naqsh-e-pa alag rakhna

kuza-gar ne jaane kyun aadmi banaya hai

us ko sab khilaunon se tum zara alag rakhna

lauT kar to aae ho tajrabon ki surat hai

par meri kahani se falsafa alag rakhna

tum to KHub waqif ho ab tumhi batao na

kis mein kya milana hai kis se kya alag rakhna

KHwahishon ka KHamyaza KHwab kyun bharen 'adil'

aaj meri aankhon se rat-jaga alag rakhna

(1776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna In English By Famous Poet Aadil Raza Mansoori. Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna is written by Aadil Raza Mansoori. Read famous Poem Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna for youth and Student by Aadil Raza Mansoori. Free Download Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna in PDF.